Tujhe kaya kahoon main aye zindagi
teray aik pal ki khabar nahin
Main yakeen karon bhi to kis tarah,
teri shab ki koi sehar nahin
Meri khawkhishon ka ye silsilla
hai kahan talak ye khabar nahin
Ye safar sadii pay muheet hai
meri umer aik pehar nahin
Jahan aagahi kay na jaal hon
wahan wehshataon kay zikar nahin
Yahan aagahi bhi azaab hai
tujhay aah ye bhi khabar nahin
Main sumar-e-ghum karon kis tarah
meray pass aisa hunar nahin
Mera aaj hai sitam aashna
mujhe kal say koi mafar nahin
Jahan do gharri ka sukoon millay
teri raah main woh shajar nahin
Main thakan say choor hon iss kadar
koi saya hadd-e-nazar nahin
Woh jo ashk-e-khoon say ho aashna
kahin aisa deeda-e-tar nahin
Meray dil say barrh kay jalla ho jo
yahan koi aisa jiggar nahin
Teri kaj adaai, sitam gari
koi ye bataaye kidher nahin
Tu hai bewafaaye ki daastan
gilla tujh say koi magar nahin
Tujhay chorrna hai to chorr day
mujhay mout ka koi darr nahin
Woh andhair nagri hai gar koi
Ye bhi rahaton ka dagar nahin.....
teray aik pal ki khabar nahin
Main yakeen karon bhi to kis tarah,
teri shab ki koi sehar nahin
Meri khawkhishon ka ye silsilla
hai kahan talak ye khabar nahin
Ye safar sadii pay muheet hai
meri umer aik pehar nahin
Jahan aagahi kay na jaal hon
wahan wehshataon kay zikar nahin
Yahan aagahi bhi azaab hai
tujhay aah ye bhi khabar nahin
Main sumar-e-ghum karon kis tarah
meray pass aisa hunar nahin
Mera aaj hai sitam aashna
mujhe kal say koi mafar nahin
Jahan do gharri ka sukoon millay
teri raah main woh shajar nahin
Main thakan say choor hon iss kadar
koi saya hadd-e-nazar nahin
Woh jo ashk-e-khoon say ho aashna
kahin aisa deeda-e-tar nahin
Meray dil say barrh kay jalla ho jo
yahan koi aisa jiggar nahin
Teri kaj adaai, sitam gari
koi ye bataaye kidher nahin
Tu hai bewafaaye ki daastan
gilla tujh say koi magar nahin
Tujhay chorrna hai to chorr day
mujhay mout ka koi darr nahin
Woh andhair nagri hai gar koi
Ye bhi rahaton ka dagar nahin.....